Tuesday, August 18, 2009
Saturday, July 04, 2009
KAHI KISI MOD
Subah ki pehli kiran se , ehsaas tumhara aaya
Aankh khulte hi khayal , pehla tumhara aaya
Hoth jab juda hue to , naam tumhara aaya
Dil ki dhadkan tez hui to , vajah tumhi ko paya
Jab tum paas thi , tab tha , mausam bahaar ka aaya
Aj tum na thi, to ye sama kaatne ko aaya
Ab akele mein main tumhi ko yaad karta hun
Aaho mein bhi tumhara hi naam leta hun
Har waqt us aahat ki khoj mein rehta hun
Jise main kahi kisi mod chod aaya
Raat-din ek hi jawaab dhundte aaya
Tumhare khayal ko q nahi main chod paya
Friday, June 05, 2009
LAB-E-KHAMOSH
Lab-e-khamosh hai kisi ki khatir
Imtehaan nahi anjaam hai aakhir
Jo kiya na vo bhula na sake
Un lamho ka dard mita na sake
Aj aasu bhi pee jane ka mann karta hai
Is andhere me doob jane ka ji chahta hai
Nasha hai un khushiyo ka jo hum bhula nahi paa rahe
Aj samay ko bhi hum aage bada nahi paa rahe
Kyun is jhuthi muskaan mein dard ka ehsaas jhalakta hai
Kyun in aankhon mein aj nami hai?
Kyun siskiyon me bharipan hai?
Kyun baat aankhon me hai lekin lab anjaan hai?
Kyun sabki khushi mein main apna adhurapan dhoondta hun?
Kyun apni muskaan pe main shak karta hun?
Rahat nahi muje raaz chahie
Is unkahe gham ka ilaj chahie
Aitraaz aj khushi se nahi
Mehfil-e-ghamgi se hai
Dil ka armaano se nahi
Armaano ka dil se hai
Aaine ka us parchayee se hai
Is fakeer ka taqdeer se hai
Aashaon ka reet se hai aur
Bhavnao ka astitv se hai