Friday, June 05, 2009

LAB-E-KHAMOSH

Lab-e-khamosh hai kisi ki khatir

Imtehaan nahi anjaam hai aakhir

Jo kiya na vo bhula na sake

Un lamho ka dard mita na sake

Aj aasu bhi pee jane ka mann karta hai

Is andhere me doob jane ka ji chahta hai

Nasha hai un khushiyo ka jo hum bhula nahi paa rahe

Aj samay ko bhi hum aage bada nahi paa rahe

Kyun is jhuthi muskaan mein dard ka ehsaas jhalakta hai

Kyun in aankhon mein aj nami hai?

Kyun siskiyon me bharipan hai?

Kyun baat aankhon me hai lekin lab anjaan hai?

Kyun sabki khushi mein main apna adhurapan dhoondta hun?

Kyun apni muskaan pe main shak karta hun?

Rahat nahi muje raaz chahie

Is unkahe gham ka ilaj chahie

Aitraaz aj khushi se nahi

Mehfil-e-ghamgi se hai

Dil ka armaano se nahi        

Armaano ka dil se hai

Aaine ka us parchayee se hai

Is fakeer ka taqdeer se hai

Aashaon ka reet se hai aur 

Bhavnao ka astitv se hai