Friday, April 05, 2013

jaana hoga chod kar, tune yaad bhi kiya nahi

reply to 'abhi na jao chod kar ki dil abhi bhara nai'...



jaana hoga chod kar.... tune yaad bhi kiya nahi,
kitni der se main yaha tha,
intezaar me tadapta tha,
hawa bhi ruk gayi,
nazar bhi ruth gayi,
vo shaam suhani bujh gayi,
tab saans meri tham gayi,
tu keh to deti muje zara,
ki tujko pyar na raha,
main tujko rokta nahi,
sapno mein jhokta nahi......
jaana hoga chod kar.......................tune
yaad bhi.... kiya nahi!!!!!

No comments: